Lalat lal lambika
Prachand tej vaksha hai
Rann mein jaise yam koi
Sanghar hetu vyagra hai
Aaroodh astra hai adamya
Jap padap ki sadhana
Lahu luhaan lakshya bhi
Kar raha saraahana
Kitne kesh kaat kar
Kataar kar gayi kahar
Dekh veer veerata
Man ki daudti lehar
Dekh veer veerata
Man ki daudti lehar

 

Daayein kabhi hai damini
Vaam kar mein naal hai
Shikhar sharmsaar se
Paksha yeh vishal hai
Gajka rachte karun kapi
Megh si lalkar hai
Rakta ranjit rann rache
Aisa rachnakaar hai
Magar yun hai veer gati
Vardan jaise koi
Aan pe amritva ka
Armaan jaise koi
Aan pe amritva ka
Armaan jaise koi

 

Singh sa paridrashya hai
Singhasan saj raha
Utpralam prabhat sa
Samay ko thaame janch raha
Chaal chal ke charmaraye
Charm chalit paduka
Jashn sangthomahi
Maan mukh pe ruka
Hai bhala jo kaun woh
Aake inke bair le
Kar le yeh nishchay agar
Aakash apni khair le
Kar le yeh nishchay agar
Aakash apni khair le.