Maula maula
Humme tera noor udhar de maula
Maula…maula…maula…aaa
Kabhi koi karj utar de maula
Maula…
Rehmate hum par kar adaa
Ye khuda raahte hum par kar adaa
 
Hai reham hai karam tera agar khuda
Wo reham wo karam barsa ae khuda
Hai reham hai karam tera agar khuda
Wo reham wo karam barsa ae khuda
Kum se kum itna kar de ae khuda mere khuda
Huq se jine ka huq tu kar adaa
Hai reham hai karam tera agar khuda
Wo reham wo karam barsa ae khuda
 
Ilaahe hai yahin, mariyam yahin hai
Sab me radha kahi, sita kahi hai
Par kisi me wo ram, krishan kyu nahi hai
Kaisi haqiqat hai chukati ye kimat hai
Har kadam har janam
Jab ye haq hai baraber ka inka
Fir kaahi milta ek din ka
Sab hai khilona dekh tere ghar ka
Fir kyu ye khel khele do-tarfa
 
Aasman inka bhi to itna hi hai
Sar uthake chalna inko bhi hai
Hai reham hai karam tera agar khuda
Wo reham wo karam barsa ae khuda
Kum se kum itna kar de ae khuda mere khuda
Huq se jine ka huq tu kar adaa
Hai reham hai karam tera agar khuda
Wo reham wo karam barsa ae khuda