Har ghadi teri raah mein hoon
Jaise teri panaah mein
Tumko itna sochta hoon kyun
 
Kheenchta hai junoon mujhko
Bin tere na sukoon
Tujhko itna chahta hoon kyun
Teri kashish ka kamaal hai
Jo iss tarah chaahun tujhe
Aur badhe kuch pyaas meri
Yaar jab dekhoon tumhe
 
Baras baras ke bheegun main tujhme
Tu zara sa bhar chhalak ke
Doobun tujhme
Doobkar main jee loon sau janam
O mere sanam sanam sanam
Nawazish karam karam karam
Wahaan main rakh doon anpni jaan
Rakhe tu jis jagah kadam kadam
 
Tere lahu ki hararatein
Mere lamz mein ghulne lagin
Mujhpe ghazal ki kitaab si
Teri raunaqein khulne lagin
Waraq waraq tu padhne de mujhko
Har fizaa banaaun tujhe
 
Aa baahon mein aa aa re aa
Yaar mohataram
O mere sanam sanam sanam
Nawazish karam karam karam
Wahaan main rakh doon apni jaan
Rakhe tu jis jagah kadam
 
Har ghadi teri raah mein hoon
Jaise teri panaah mein
Tumko itna sochta hoon kyun
Kheenchta hai junoon mujhko
Bin tere na sukoon mujhko
Tujhko itna chahta hoon kyun