Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyar nahi karta
Per koyi aisi shaam nahi
Jab main apni tanhaai mein
Teraa intazaar nahi karta
 
Main tujhse pyaar nahin karta
Dil se ye kehta rahta hu
Par teri sanson mein chip ke
Main saansen letaa rehta hu
Is se inkaar nahi karta
Main tujhse pyar nahi karta
 
Mujhe kucch bhi yaad nahi rahta
Kab din dooba, kab raat hui
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri divaaron se baat hui
Jo hosh zara saa baaqi hai
Lagta hai khone wala hu
Afwah uddi hai yaaro mein
Main pagal hone wala hu
Main tujhse pyaar nahin karta
 
Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyar nahi karta
Par aisa koyi din hai kyaa
Jab yaad tujhe teri baato ko
Sau sau baar nahin karta
Sau sau baar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta