Tukdon ki yeh…tasveer hai…
Tukdon mein bhi lekin haseen tehreer hai
Kehne ko yoon..keh leejiye…
Tewar bhari se badnuma yeh zanjeer hai
Yeh zindagi jua hai
Kisko yakeen hua hai
Baaziyan na munasib kahin badh jaaye na
Ik tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na
 
Khuda na khasta Khuda na khasta
Kudaya khair kare Khuda na khasta
Ik haath mein…sau haath hai…
Aur doosre mein ranjishein hain, jazbaat hain
Na jaane kyun…iske liye…
Kohraam mein kuchh itminaan si baat hai
Yeh zindagi dhuaan hai
Kisne ise chhua hai
Titliyon ki tarah shokh hai, udd jaaye na
Ek tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na
 
Khuda na khasta Khuda na khasta
Kudaya khair kare Khuda na khasta
O.. Jeene ko jo aashiyana biyabaan hai
O.. Palta ussi aashiyaane mein toofan hai
Saaiyaan…saaiyaan…
Itni silvatein maazi mein padi
Jeene ki wajah unse thi badi
O…zaaya baat kyun shikwon mein karein
Adhoori hasratein dar pe hain khadi
 
O..yeh zindagi nasha hai
Takleef mein maza hai
Iski fitrat mein hi jung hai, chhid jaaye na
Ik tarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara mod koi mud jaaye na
Khuda na khasta Khuda na khasta
Kudaya khair kare Khuda na khasta
Khuda na khasta Khuda na khasta
Kudaya khair kare Khuda na khasta