Chaahe tum kuch na kaho maine sun liya
Ki saathi pyaar ka mujhe chun liya
Chun liya maine Sun liya haa
 
Pehla nasha pehla khumar
Naya pyaar hai naya intezar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar
Tu hi bata
Pehla nasha pehla khumar
 
Udta hi phirun in hawaaon mein kahin
Yaa main jhool jaaun inn ghataaon mein kahin
Udta hi phirun in hawaaon mein kahin
Yaa main jhool jaaun inn ghataaon mein kahin
Ikk kar doon aasmaan aur zameen
Kaho yaaron kya karoon kya nahin
 
Pehla nasha
Pehla khumaar
Naya pyaar hai naya intezar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekarar
Mere dil-e-bekarar
Tu hi bata
Tu hi bata
Tu hi bata
Tu hi bata