Baantne lage kyu mujhe
Dil ki mansha puchhti kya hai?
Mujh mein duniya dhundti kya hai?
Aisi hun na..waisi hun
Main bhi saala tum jaisi hun
Phir kyu mujhko baant-ti hai
Main haq mangu toh daant-ti hai
 
Bas itna hai mera kissa
Baant ke rakh tu mera hissa
Bas itna hai mera kissa
Baant ke rakh tu mera hissa
Tumko saala pata nahi hai
Ladki hona khata nahi hai
Jitna jug pe haq tera
Utna hi mera haq hai
 
Phir bhi saala jaane kyu?
Tujhko mujhpe hi shak hai kyu?
Bas itna hai mera kissa
Baant ke rakh tu mera hissa
Bas itna hai mera kissa
Baant ke rakh tu mera hissa
 
Hum na hote to kya hota
Tanha baithe ghut ghut rota
Kaun dil ki murammat karta?
Kaun tujhse mohabbat karta?
Sabke dil mein baste hain hum
Phir bhi saala saste hain hum
Bas itna hai mera kissa
Baant ke rakh tu mera hissa
Bas itna hai mera kissa
Baant ke rakh tu mera hissa