Le aayi hai beete hue
Lamhon ko phir haan ye zindagi
Yun beraham si ho gayi
Lene chali jaan ye zindagi
Khuda kyun rooth gaya mujhse
Nahi tha bair mera tujhse
Kyun tune chheen liya mujhse
Mera jahaan
 
Aye khuda khuda
Tu bata bata
Ummeed thi armaan the
Khushiyan bhi thi behisaab si
Baahon mein thi duniya meri
Thi zindagi jaise khwaab si
 
Har ik pal roshan roshan tha
Mehekta dil ka aangan tha
Tha jannat se badhkar pyaara
Mera jahan
Aye khuda khuda
Yeh bata bata
 
Yeh kya kiya khuda haaye
Yeh kyun kiya khuda
Bata mere khuda
Thi kya meri khata
Bejaan si hai zindagi
Har saans hai ghamzada
 
Yeh kya kiya khuda haaye
Yeh kyun kiya khuda
Bata mere khuda
Thi kya meri khata
 
Ummeed hai tooti hui
Tanhaiyon ka daur hai
Hai khwaishein bikhri hui
Khamoshiyon ka shor hai
Bula le apne paas mujhe
Naa aaye jeena raas mujhe
Kyun tune chhen liya mujhse
Mera jahaan..
 
Aye khuda khuda
Tu bata bata
Yeh kya kiya khuda haaye
Yeh kyun kiya khuda
Bata mere khuda
Thi kya meri khata
 
Bejaan si hai zindagi
Har saans hai ghamzada
Yeh kya kiya khuda haaye
Yeh kyun kiya khuda
Bata mere khuda
Thi kya meri khata
Aa