Mat aazma re, phir se bula re
Apna bana le hoon beqaraar
Tujhko hi chaha dil hai ye karta
Aa betahasa tujhse hi pyaar
Hasratein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Khwaishein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Chahatein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Mannatein baar-baar baar-baar yaar ki karo
 
Hum zaar zaar rote hain
Khud se khafa bhi hote hain
Hum ye pehle kyun na samjhe tum fakht mere
Dil ka qaraar khote hain
Kahaan chain se bhi sote hain
Humne dil me kyun bichhaaye shaq ye gehre
Hasratein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Khwaishein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Chahatein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Mannatein baar-baar baar-baar yaar ki karo
 
Tere hi khwaab dekhna, teri hi raah taakna
Tere hi vaaste hi hai meri har wafa
Teri hi baat sochna, teri hi yaad odhna
Tere hi vaaste hai meri har duaa
 
Tera hi saath maangna, Teri hi baah thaamna
Mujhe jaana nahi kahin tere bina
Tu mujhse phir na roothna
Kabhi kahin na chhootna
Mera koi nahi yahaan tere siva
Hasratein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Khwaishein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Chahatein baar-baar baar-baar yaar ki karo
Mannatein baar-baar baar-baar yaar ki karo