Ho aaja, aaja meri jaan
Rootho na hamse sanam
Tumhe hai meri qasam
Le jaye jaan meri yeh duriyan
Aaja! aaja meri jaan
Rootho na hamse sanam
Tumhe hai meri qasam
Le jaye jaan meri yeh duriyan
 
Tumne kahaa tha saat phere
Sath tere le lu abhi
Aankhon mein meri aaj phir yun
Aa gaye kyun aansoo abhi
Bolo, bolo zara tumhi
Wada yeh tha ke nahi
Tu hai jahaan main wahin
Phir kyun ab tak yun hain yeh duriyan
 
Jagmaga raha raaton ka samaa
Jilmila raha raaton ka samaa
Taaron se saja raaton ka samaa kahne laga
Aaja! aaja meri jaan
Rootho na hamse sanam
Tumhe hai meri qasam
Le jaye jaan meri yeh duriyan
 
Tarsa ho koyi yeh suna tha
Magar hum sa tarsa nahi
Meelon chale phir humne jaana
Koi thikana ghar sa nahi..
Mud ke... mud ke baahein meri
Pukaare baahon ko teri
Chali main raahon ko teri..
 
Lag ja seene se kaisi yeh duriyan
Manzilein kahaan, raaste kahaan
Kise hai fikar jaayenege kahaan
Kise hai pata le chalo jahaan
Dil hai rawaan
Aaja! aaja meri jaan
Rootho na hamse sanam
Tumhe hai meri qasam
Le jaye jaan meri yeh duriyan