Jab tum chaho paas aate ho
Jab tum chaho door jaate ho
Jab tum chaho paas aate ho
Jab tum chaho door jaate ho
Jab tum chaho paas aate ho
Jab tum chaho door jaate ho
Chalti hamesha marzi tumhari
Kehte ho phir bhi pyar karte ho
Maana maine galtiyan ki
Thodi thodi sakhtiyan ki
Ishq mein thodi si mastiyaan ki
 
Jab tum chaaho shiqve gille ho
Jab tum chaaho dil yeh liye ho
Chalti hamesha marzi tumhari
Jao bade aaye pyar karte ho
Dil ki baatein bolte nahi
Raaz apne tum kholte nahi
Apne mann ki tum karte ho sada
Mera mann tum tatolte nahi
 
Sach hai teri yeh sab shikaayate
Tod doonga yeh riwayatein
Bhool meri bhool jaana
Mujhko aaya na rijhana
Magar chahta hoon ab manana
Jab tum chaho hans ke bulaao
Jab tum chaho ladte hi jao
Chalti hamesha marzi tumhari
Badi badi baate pyar karte ho
 
Seekhni hain pyar ki bareekiyan sabhi
Ho samaye agar to sikha deejiye abhi
Kaise kisi ko rijhate hain baat baat mein
Door kaise hoti kisi ki narazgi
Bhole banke karte ho gustakhiyan
Chhod do yeh sab chalaakiyan
Baaton mein behlao na yoon
Baat ko badhao na yoon
Maanungi na main manao na yoon
 
Jab tum chaho shaam saji ho
Jab tum chaho raat ghani ho
Ab tum chaho jo bhi saza do
Bas thoda sa hans ke dikha do