Kabhi kabhi lage yehi
Jo hona tha hua wahi
Badlana bhi hawaaon ka hai zaroori
Kabhi kabhi lage yehi
Jo milna tha mila wahi
Bikharna bhi duaaon ka hai zaroori
 
Kisi ke waaste kahaan
Zameen pe aaya aasmaan
Ye dooriyan rahi bas dooriyan
Ke chori chori chupke se chupke se rona
Hai zaroori
Ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona
Hai zaroori
 
Reh gayi aarzoo ik adhuri
Ke kabhi kabhi
Aisa bhi, aisa bhi hona
Hai zaroori
Nasamajh thhe hum
Jo ye bhi na samjhe
Waqt aane pe
Sab badalte hain
 
Manzilein kya hain
Aur raaste kya hain
Log pal bhar mein
Yahaan Rabb badalte hain
 
Kisi ke vaaste kahaan
Kinaare aaye kashtiyan
Ye dooriyan rahi bas dooriyan
Ke chori chori chupke se, chupke se rona
Hai zaroori
Ke paani paani ankhiyon ka, ankhiyon ka hona
Hai zaroori
 
Reh gayi aarzoo ik adhuri
Ke kabhi kabhi
Aisa bhi, aisa bhi hona
Hai zaroori
Muskurane ke kitne bahane thhe
Phir bhi aankhon ne
Kyun nami chun li
 
Dil ki baatein toh
Sab aasmaani thi
Hum hi pagal the
Iss dil ki jo sunn li
Kisi ke vaaste kahaan
Mili hai raat se subah
Ke dooriyan rahi bas dooriyan
 
Ke chori chori chupke se, chupke se rona
Hai zaroori..
Ke paani paani ankhiyon ka, ankhiyon ka hona
Hai zaroori
Reh gayi aarzu ik adhuri
Ke kabhi kabhi
Aisa bhi, aisa bhi hona
Hai zaroori