Jhuke tere aage sar, teri goud mera ghar
Hai tujhe salaam India
Mushkil waqt mein bhi, hum na khoye honsla
Milke saath chalne ka, yun kar le faisla
Mitti hum jo choome, toh milta josh hai
Bas teri hi khatir, jaan yeh sarfarosh hai
 
Jeet ka jashn hum manayenge
Aasman Tiranga sajana
Shaan se sabhi ko batayenge
Jeet lenge yeh saara jahaan
Jhuke tere aage sar, teri goud mera ghar
Hai tujhe salaam India
Jhuke tere aage sar, teri goud mera ghar
Hai tujhe salaam India
India…aa..
India…aa..
 
Ho abr se iraade ho, koshisho ke vaade ho
Manzil milegi chahein, raahein ho khafa
Ho abr se iraade ho, koshisho ke vaade ho
Manzil milegi chahein, raahein ho khafa
Desh yeh sikhata hai, himmatein badhata hai
Thokar se girke, naa tu rukna be wajah
Tera ye vatan, kar kuch bhi jatan
Tu jaan bhi ye is pe luta de tu
Dar ko dara ke, rag mein fateh ka josh jaga
Aasha ki udaane lagani hai,
Inn hawao ka rukh badalna aaj hai
Desh ye ik ibaadat hamari hai
 
Phir tu ye aaj sabko bata