Teri meri aankhon ne
Milke jo khwaab bune
Woh bade pyare thhe
Teri meri paaon chale
Milke ke do pairon tale
Taare hi taare thhe
 
Saari baatein mujhe yaad hai
Woh chand raatein mujhe yaad hai
Mujhe bhi tere haathon ki narmiyan yaad hai
Woh maasoom pyari si besharmiyan yaad hai
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai
 
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai
Yaad hai tumko woh barsaatein
Jab milke hum bheege thhe
Kyun andar se aanch uthi
Jab baahar se hum geele the
 
Kaisi thi woh befikri
Guzri phir bhi na guzri
Aisi shaamein mujhe yaad hai
Aisi baatein mujhe yaad hai
 
Koi jaan ke jaan se toh guzarta nahi
Kabhi apni marzi se koi bichhadta nahi
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai
 
Oh
Kaandhe pe sar rakh ke tere
Soyi thi main kitni der
Dhoondh rahi thi duniya mujhko
Khoyi thi main kitni der
 
Kaisi thi woh befikri
Guzri phir bhi na guzri
Saari shaamein mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai
 
Jo hothon se naa keh saka
Harf woh bhi to hai
Jo aankhon se naa beh saka
Dard woh bhi to hai
 
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hai