Zaar zaar hua aitbaar
Tukde hazaar hua aitbaar
Hua sharmsaar
Khud se hi haar kar ke
Kyun taar taar hua aitbaar
Jhootha khumaar hua aitbaar
Seenay mein yaar
Chubhta gubaar banke
 
Dil aitbaar karke, ro raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar
Aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
Dil aitbaar karke, ro raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar
Aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
 
Darr ka shikaar hua aitbaar
Dil mein daraar hua aitbaar
Kare jeetkaar baahein pasaar karke
Nashtar ki dhaar hua aitbaar
Pasli ke paar hua aitbaar
Choosay hai khoon
Bada khoonkhaar banke
 
Jhulsi hui iss rooh ke,
Chithde padeh bikhre hue
Udhdi hui ummeed hai oo
Raunde jinhe kadmo tale,
Badi beraham raftaar yeh
Bejaan si iss geed ke oo
Jal bhun ke raakh hua aitbaar
Ganda mazaak hua aitbaar
Chidhta hai, kudhta hai,
Sadta hai raaton mein
Challi sa chaakh hua aitbaar
Raste ki khaak hua aitbaar
Galta, pighalta hai,
Khalta hai raaton mein
 
Dil aitbaar karke, ro raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar
Aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
Dil aitbaar karke, ro raha hai
Aitbaar aitbaar aitbaar
Aitbaar aitbaar karke
Ro raha hai aitbaar karke
 
Kyun phir zaar zaar hua aitbaar
Tukde hazaar hua aitbaar
Hua sharmsaar khud se hi haar kar ke
Nashtar ki dhaar hua aitbaar
Pasli ke paar hua aitbaar
Choosay hai khoon
Bada khoonkhaar banke