Zara si dosti karle
Zara sa humnasheen ban ja
Sau khwaab hain, Ik zindagi
Kaise chune kya chahiye
Shayad teri haan na mile
Phir bhi humein teri na chahiye
Tu hi safar
Tu raasta
Tu hi kaarwaan
Kaise chale main tere bina
 
Zara si dosti kar le
Zara sa humnasheen ban ja
Zara sa saath de bas
Phir chahe ajnabi ban ja
Zara si dosti kar le
Zara sa humnasheen ban ja
Zara sa saath de bas
Phir chahe ajnabi ban ja
 
Tujhse milke dil ko ye yaqeen ho gaya
Aaine mein main sab se haseen ho gaya
Tujhse milke dil ko ye yaqeen ho gaya
Aaine mein main sab se haseen ho gaya
Tu nigaahein phere to lage yun mujhe
Mujhse khoobsurat har koi ho gaya
Jaata hai jaa
Leja wafaa
Leja duaa
Bas de de apni wo nigaah
 
Zara si dosti kar le
Zara sa humnasheen ban ja
Zara sa saath de bas
Phir chahe ajnabi ban ja
Zara si dosti kar le
Zara sa humnasheen ban ja
Zara sa saath de bas
Phir chahe ajnabi ban ja
 
Jab talak tu mujhme yaar shamil raha
Tujhme tha jo mera mujhko hasil raha
Kho gaya hai tu to
Ab ye lagta hai dar
Kya ye dil bechara tere qaabil raha
Sunle duaa, ye ilteja, tujhse judaa
Main kuch nahi hoon tere bina
 
Zara si dosti kar le
Zara sa humnasheen ban ja
Zara sa saath de bas
Phir chahe ajnabi ban ja
Zara si dosti kar le
Zara sa humnasheen ban ja
Zara sa saath de bas
Phir chahe ajnabi ban ja
Zara si dosti kar le
ooo.. woo..