Dhuaan dhuaan si hai zindagi
Dhundhla sa hai, khwaab kahin
Kho gayi jaane kahaan woh khushi
Dikhti nahi hai roshni
Kaise din the, aur kaisi thi woh raatein
Jab karte the hum sapno se hi baatein
Gum ho gayi hai woh hasi
Hmm..hmm..hm..
Hmm..hmm..hm..
 
Ho na kinara haan na sahara haan
Jaane kahaan main jaa raha
Chalte chalte, hey raah par kyun
Ruk si gayi hai zindagi
Dhuaan dhuaan si hai zindagi
Dhundhla sa hai, khwaab kahin
Kho gayi jaane kahaan woh khushi
Dikhti nahi hai roshni
 
Yaari ka aisa asar tha,
Na koi fikra na darr tha
Zinda dili se jeete the hum
Ab waqt hum se khafa hai
Jeene ki ab na wajah hai
Yeh kaisa toofan aa gaya
Chup chup ke rone main laga
Dhuaan dhuaan si hai zindagi
Dhundhla sa hai, khwaab kahin
Kho gayi jaane kahaan woh khushi
Dikhti nahi hai roshni