Karta nahi kyun tu mujhpe yaqeen
Kyun mere dil ki tu sunta nahi
Hmm
Tere bagair kitna tanha sa hoon
Aalam yeh dil ka tu samjhe kabhi
Hai pataa yeh tujhe
Na jee sakunga bin tere
Phir bhi kyun mujhse judaa Tu
 
Tu hi hai
Tu hi toh hai
Mera junoon
Tu hi hai
Tu hi toh hai
Dil ka sukoon
Tu hai jiske bina
Main jee na sakun
 
Aa phir jiyein shaamein wahi
Chal phir wahi hum baatein karein
Bechainiyon ke phir silsile hon
Phir dil mera yeh aahein bhare
Zyada nahi toh thodi sahi
De de mujhe wohi zindagi
 
Aa mere nazdeek tu
Ye faasley mujhko ghere
Hai pata ye tujhe
Na jee sakunga bin tere
Phir bhi kyun mujhse judaa Tu
 
Tu hi hai
Tu hi toh hai
Mera junoon
Tu hi hai
Tu hi toh hai
Dil ka sukoon
Tu hai jiske bina
Main jee na sakun
 
Qubool nigaahon ki
Na ho woh duaa
Jisme yaar ke deedar ki talab na ho
Meri to har duaa mein tu hi hai
Tu hi hai
Hai yeh pata
Jaana hi hai raahon se teri door mujhe
Mumkin nahi hai mere liye
Par bhoolna hi hoga tujhe
 
Ishq ke aage hai jo jahaan
Ae dil le chal mujhko wahaan
Jo bachi mujhme teri
Unn khushbuon se tu kar riha
Hai tujhe ab mera
Haan alvida, alvida…
Phir bhi kyun dil kehta
 
Tu Tu hi hai
Tu hi toh hai
Mera junoon
Tu hi hai
Tu hi toh hai
Dil ka sukoon
Tu hai jiske bina
Main jee na sakun
O dildara