Teri yaad mere dimaag mein
Aise hai basi
Na hi behte hain aansu
Na hi aati hai hansi
Kyun tu gayi aur kahan pe gayi
Ye sab mujhko nahi pata
Mujhko toh bas koi yahi bata de
Ki meri kya thi khata
 
Teri yaad hai har jagah
Teri yaad hai har jagah
Nahi milna humara…bewajah
Aashiqui tujhse
Tu hi nahi hai
Koi na koi, hai wajah
 
Aashiqui tujhse
Tu hi nahi hai
Koi na koi, hai wajah
Teri yaad hai har jagah
Hona tha jo ho gaya
Khona tha jo kho gaya
Pyaar mein tere padke
Pagal hona hi tha ho gaya
 
Ab yahi deewanapan
Sar chadhke bole
Main kya karun?
Ik chhota sa sawaal hai
Main jiyun ya marun
 
Tanha katega, kaise ye safar
Mujh mein zinda tu hai iss qadar
Jis ehsaas ko lafzon mein kehna..
Hai mumkin nahi ye ab mera
Aashiqui tujhse
Tu hi nahi hai
Koi na koi, hai wajah
Teri yaad hai, har jagah