Tu jo rootha toh kaun hansega
Tu jo chhoota toh kaun rahega
Tu chup hai toh yeh darr lagta hai
Apna mujhko ko ab kaun kahega
 
Tu hi wajah
Tere bina bewajah bekar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
 
Aaja ladein phir khilono ke liye
Tu jeete main haar jaaun
Aaja karein phir wohi shararatein
Tu bhaage main maar khaaun
 
Meethi si woh gaali teri
Sunne ko taiyaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon
 
Sajna de rang rangaaiyan ve
Sagna diyan sehnaiyan ve
Dhol wajange yaar nachange
Lakh lakh deo badhaiyan ve
 
Khusiyan ch nachda main phiraan
Hanjuan ton bachda main phiraan
O jaate nahi kahin rishte puraane
Kisi naye ke aa jaane se
Jaata hoon main toh mujhe tu jaane de
Kyun pareshan hai mere jaane se
 
Toota hai toh juda hai kyun
Meri taraf tu muda hai kyun
Haq nahi tu yeh kahe ki yaar ab hum na rahe
 
Ek teri yaari ka hi
Saaton janam haqdaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main