Kya wahaan din hai abhi bhi
Papa tum rehte jahaan ho
Aus ban ke main giroongi
Dekhna tum aasmaan ho
Tin ke toote kanastar
 
Se zara boondi churaakar
Bhaagti hai koyi ladki
Kya tumhe ab bhi chidhakar
Farsh ab bhi thaam ungli
Saath chalta hai kyun papa
Bhaag ke dekho re aagan
Bhi machalta hai kya papa
 
Aag ki bhi chaanw hai kya
Cheentiyon ke gaon hai kya
Jis kuye mein hum gire hai
Us kuye mein naav hai kya
Kya tumhe kehta hai koyi
Ke chalo ab khaa bhi lo
 
Dibbiyon mein dhoop bhar kar
Koyi ghar laata hai kya
Chimniyon ke is dhuyein
Mein mere do khargosh the
Ve kabhi aawaz de toh
Koyi sun paata hai kya
Gintiyaan sab laakh mein hai
 
Haath lekin raakh mein hai
Chaand ab bhi gol hai kya
Jashn ab bhi dhol hai kya
Pee rahe hain sharbatein kya
Kya wahaan sab hosh mein hai
Ya ki maathe see rahe hai
Do minute afsos mein hai