Ikk rishta hai uss rishte ka
Main naam jaanu na
Ikk rasta hai uss raste ka
Anjaam jaanu na
Bas itna hi hai pata
Ke ho gayi hai khata
Main khud ka na raha
 
Main purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera
Main purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera
 
Main bhi aadha khoya sa hoon
Tu bhi aadhi khoyi si
Kya pata ke poore ho jayein
Hum mil ke ik dooje se
Thodi thodi mujhko tu hai
Ho gayi zaruri si
Kya pata ke poore ho jayein
Hum mil ke yun
Shikva hai Rabb se zara
Jabse hua tu mera
Main khud ka na rahaa o…
 
Main purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera
Dil ke band darwaajo ko
Khatkhata ke dekha hai
Koi bhi nahi iss ghar mein
Kamra kamra tu hi tu hai
 
Khidkiyon se mann ki jhanken
Sham si teri aankhen
Ab kahan main baaqi mujhme
Bas tu hi tu hai
Kaisa nasha sa hai ye
Kaisa tamasha hai ye
Main khud ka na raha
 
Main purza purza tera
Main purza purza tera
Na aadha pauna tera
Main poora poora tera…
Tera o.. poora tera wo..
Purza purza tera
Purza purza tera ho o