Tu kisi rail si guzarti hai
Tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharata hu
tu bhale ratti bhar na sunti hai
main tera naam budbudata hu
kisi lambe safar ki raaton mein
tujhe alaw sa jalata hu
Tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharata hu
 
Kaath ke taale hain
aankh pe daale hain
unme isharo ki chabhiyaan laga
kaath ke taale hain
aankh pe daale hain
unme isharo ki chabhiyaan laga
raat jo baaki hai shaam se taaki hai
neeyat mein thodi..neeyat mein thodi 
kharabiyaan laga..kharabiyaan laga
 
Main hu pani ke bulbule jaisa
tujhe sochu toh fut jaata hu
Tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharata hu
Tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharata hu
thartharata hu...thartharata hu
thartharata hu