Dhuan dhuan dhundh mein khoyi chandaniya
Lori sunaaun main kya
Nam aankhon mein doobi sapaniya
Lori sunaaun main kya
 
Lori sunaaun main kya
Raat bujhaaun main kya
Neendein bulaaun main kya
Pathreele takiye pe soti re duniya
Lori sunaaun main kya
Saansein zehar mein piroti re duniya
Lori sunaaun main kya
 
Maile maile baadal ki chaadar mein
Chaand soya to jaaga nahi
Soone soone ambar ne bhi hadd ki
Chhoda aasha ka tara nahi
Dil ka dil se yahan koi naata nahi
Dard hota to hai aansu aata nahi
Aansu aata nahi..
 
Dhuan dhuan dhundh mein khoyi chandaniya
Lori sunaaun main kya
Nam aankhon mein doobi sapaniya
Lori sunaaun main kya