"Koi atka hua hai pal saayad
Waqt mein pad gaya hai pal saayad
Dil agar hai to dard bhi hoga
Iska koi nhi hai hal shayad"
 
Aa.. 
Bujh gaye taare o yaara
Aasaman kala lage re
Kuch bhi nazar na aave
Ankhiyon me jaala lage re
Dil waali naukri ne maara
O yaara.. dil waali naukri ne maara
 
O.. meetha lage ab bhi wo yaaron 
Darton ki tokri utaro
Dil waali naukri ne maara
O yaara.. dil waali naukri ne maara
 
Sweeta o Sweeta 
Tere bin koylon se kaale
Kaale hue din 
Tere bin, tere bin, tere bin
 
O zindagi uljha hua sauda hai
Umrre leta hai ek pal de kar
Main bawra, baawra, main baawra
Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ek pal de kar
Main bawra, baawra, main baawra
 
Ho.. marne se mujhe koi dar to nahin
Haan tere bin muskil hogi
Jeena bhi pade toh bhi mujhko
Haan tere bin muskil hogi
Seene mein ishq ka
Ik bujha sa diya
Main toh leke chala
 
Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Main bawra, baawra, main bawra
O... wo..
 
"Shaam hai toh sham sahi raat na hone dena
Aas ki saans chalti rahe
Maat na hone dena
Jin aankhon me neend nahin hain
Un aankhon me khawab tha koi
Khawab wo, khawab tum
Hone na dena baawra, baawra, baawra"
 
Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Main bawra, baawra 
Main baawra
 
Zindagi uljha hua sauda hai
Umrein leta hai ik pal de kar
Dil bawra, baawra 
Dil baawra
O... wo..