Tum toh darasal khwaab ki baat ho
Chalti mere khayalon me tum sath sath ho
Milti hai jo achaanak woh saugaat ho
Tum toh darasal meethi si pyaas ho
Lagta hai ye hamesha ke tum aas paas ho
Thehra hai jo labon pe woh ehsaas ho
 
Teri adaa, adaa pe marta main
Wafaa, wafaa si karta kyun
Hadon se hoon guzarta main
Zaraa zaraa zaraa
Tum toh darasal saanson ka saaz ho
Dil mein mere chupa jo wohi raaz, raaz ho
Kal bhi mera tum hi ho mera aaj ho
Kal bhi mera tum hi ho mera aaj ho
 
Hmm
Baarish ka paani ho tum
Kaagaz ki kashti hoon main
Tujh mein kahin main beh jaata hoon
Ho milne hoon tumse aata
Waapas nahi ja paata
Thoda wahin main reh jaata hoon
Ho
 
Tum toh darasal ishq ho pyaar ho
Aati mere phasaano mein tum baar baar ho
Inkaar mein jo chhupa hai wo ikaraar ho
Inkaar mein jo chhupa hai wo ikaraar ho