Tann lade toh tann mukk jaaye
Rooh jude toh judi reh jaaye
 
Tujhse kiya hai dil ne bayaan
Kiya nigaahon ko zubaan
Waada wafaa ka kiya
 
Tujhse liya khud ko mila
Liya duaavon ka sila
Jeene ka sapna liya
 
Dil ke makaan mein
Tu mehmaan rahaa, rahaa
Aankhon ki zubaan
Kare hai bayaan kahaa akahaa
 
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kyun hai yeh kaise hai yeh tu bata
Kuch toh hai tujhse raabta
 
Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kyun hai yeh kaise hai yeh tu bata
Kuch toh hai tujhse raabta