Khulne lagi zindagi 
Khulne lagi
Mil gaye (mil gaye)
Mil gaye kuch lamhe umeed ke (umeed ke)
Zindagi ajnabi na rahi
Gair the (gair the)
Ya dost hain, hai lamhe ajeeb se (ajeeb se)
Khush bhi hain aur khushi bhi nahin
 
Khulne lagi zindagi 
Khulne lagi
(Khulne lagi yeh zindagi)
Jo ruki-ruki ik saans thi
Har aur ab, udne lagi (udne lagi)
Aankhon mein band jo talaash thi
Har qaid se khulne lagi
 
Kyun lafz mile hai par honth sile hai
Ye jism aur rooh alag si kyun hai
(Alag si kyun hai..)
Woh kyun aake kinare par baat ruki hai
(Baat ruki hai..)
Bheed bhi hoon tanhaai bhi hoon
Tere bina.. tere bina main yahan hoon
Baraste sawalon ki boondon mein ik lamha sa
Hoon bandh main (hoon bandh main)
 
Jo ruki-ruki ik saans thi
Har aur ab, udne lagi (udne lagi)
Aankhon mein band, jo talaash thi
Har qaid se khulne lagi 
Jo ruki-ruki ik saans thi
Har aur ab, udne lagi (udne lagi)
Aankhon mein band, jo talaash thi
Har qaid se khulne lagi 
 
 
Oo.. (zindagi..)
Khulne lagi (khulne lagi yeh zindagi)
Khulne lagi (zindagi..)
Zindagi.. khulne lagi..