Tu nahi kuchh nahi
Kuchh nahi tu nahi
Tu nahi kuchh nahi
Kuchh nahi tu nahi
Sunu na kuchh tere siwa
Kahoon na kuchh tere siwa
Rahe zameen ya aasmaan
Na main rahoon tere siwa
Tere siwa na main rahoon
Na tu rahe mere siwa
Jahaan bhi yeh zameen rahe
 
Jahaan bhi aasmaan rahe
Jo tu rahe to main rahoon
Meri sadaa yehi kahe
Mere kadam wahin chalein
Jahaan tere kadam chalein
Tu nahi kuchh nahi
Kuchh nahi tu nahi..
Teri yeh nigaahein muhko batayein
Pyar tera kitna pyara..
Teri yeh do baahein jannaton ki raahein
Pyar ki mehki jawaan dhara
Mila hai mujhe pyaar itna ki main
Har pal ko jeeti hoon
Pata nahi kyun naam mera tera
 
Hi naam leti hoon
Main bas tera hi roop hoon
Main bas tera hi rang hoon
Main mere saath hoon nahi
Main bas tere hi sang hoon
Tu sang hai to hai hansi
Tu sang hai to hai khushi
Tu sang hai to sang main
Nahi to kya yeh zindagi
Tu nahi kuchh nahi
Kuchh nahi tu nahi..
Tujhse shuru ho, tujhse khatam ho
Chaahe ik pal ka jeevan ho
Mera bhi hai kehna, tere sang rehna
 
Tujh se hi mera sangam ho
Tu hi to meri aas hai, pyaas hai
Mera ehsaas hai
Tu hi to meri saanson ki dor hai
Tu khaas hai
Main hoon to bas tere liye
Main hoon nahi mere liye
Main tu hoon khud mein dekh le
Zara laga mujhe gale
Nahi kahoon main woh kahoon
Tere liye main kya kahoon
Kahoon to bas yehi kahoon
Yehi kahoon tere liye
Tu nahi kuchh nahi
Kuchh nahi tu nahi