Choti choti baatein yunhi aate jaate
Yaadein sehlaake jaati hain
Raaton ko sirhaane baasi muskaane
Mujhko sulaake jaati hai
Milna nahin hai mumkin itna batao lekin
Hum phir mile kyun hain
Tujhko bhulaana paaun tujhko bhulaana paaun
Yeh silsile kyun hain
Sab kuch wahi hai par kuch kami hai
Teri aahatein nahi hai
Sab kuch wahi hai par kuch kami hai
Teri aahatein nahi hai nahi hai
Maine nahin jaana tune nahin jaana
Jaane anjaane jo hua
Kuch toh hua jo mujhko hua na
Tujhko magar kyun hua
Galti nahin hai teri galti nahin hai meri
Phir bhi gile kyun hain
Tujhko bhulaana paaun tujhko bhulaana paaun
Yeh silsile kyun hain
Sab kuch wahi hai wahi hai par kuch kami hai kami hai
Teri aahatein nahi hai
Sab kuch wahi hai par kuch kami hai
Teri aahatein nahi hai nahin hai nahi hai
Teri aahatein nahi hai aahatein nahi hai
Teri aahatein nahi hai
Teri aahatein nahi hai aahatein nahi hai
Teri aahatein nahi hai
Kyun kyun nahi hai