Hai saaz tu, tera tarj main
Tu hai dawa, aur marz main
Dildar tu, khudgarz main
Hai meet tu, tere lafz main
 
Tu hai dua, aur farz main
Azaad tu, aur karz main
Hai shama tu, tareef main
Tu chain hai, takleeef main
Tujh se mila toh paa liya, har cheej main
 
Hai khwaab tu, taabeer main, maana tujhe taqdeer main
Tera hua iss bheed mein, iss bheed mein
Hai teri meherbaani, ki andheron se hum mukar gaye
Hai teri meherbaani, ki bin jaane hi yun sanwar gaye
 
Hai tu hi toh hai bewafa, tu baarish meri, savera mera
Main tera hum raasta, hai kashti teri, kinara mera