Main agar sitaaron se chura ke laaun roshni
Hawaaon se chura ke laaun raagini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Main agar nazaron se chura ke laaun rangatein
Mazaaron se chura ke laaun barqatein
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
 
Yeh duniya paraayi hai
Bas ek apna hai tu
Jo sach ho mera woh
Savere ka sapna hai tu
Dekhunga tera raasta
Ho kuch tujhe bas Khuda na khasta
Ho
 
Tere bina umrr ke safar mein
Bada hi tanha hoon main
Raftaar jo waqt ki pakad na sake
Woh lamha hoon main
Faagun ke mahine tere bina hain pheeke
Jo tu nahi toh saare saawan mere sookhe
 
Main agar kitaabon se chura ke laaun qaayde
Hisaabon se chura ke laaun faayde
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
Main agar sitaaron se chura ke laaun roshni
Hawaaon se chura ke laaun raagini
Na poori ho sakegi unse magar teri kami
 
Yeh duniya paraayi hai
Bas ek apna hai tu
Jo sach ho mera woh
Savere ka sapna hai tu
 
Dekhunga tera raasta
Ho kuch tujhe bas Khuda na khasta
Khuda na khasta
Khuda na khasta