Woh jo tha khwab saa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de
Woh jo tha khwab saa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de
 
Kyun na rok kar khudko
Ek mashwara kar lein
Magar jaane de
Aadatan toh sochenge
Hota yun toh kya hota
Magar jaane de
 
Woh jo tha khwab saa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de
 
Beeta jo beete na haaye kyun
Aaye yun aankhon mein
Humne toh be-mann bhi socha na
Kyun aaye tum baaton mein
 
Poochhte jo humse tum
Jaane kya kya hum kehte
Magar jaane de
Aadatan toh sochenge
Hota yun toh kya hota
Magar jaane de
 
Woh jo tha khwab saa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de
 
Aasaan nahi hai magar
Jaana nahi ab udhar
Aasaan nahi hai magar
Jaana nahi ab udhar
 
Maloom hai jahaan dard hai
Wahi phir bhi kyun jaayein
Wahi kashmakash wahi uljhane
Wahi tees kyun laayein
 
Behtar toh yeh hota
Hum mile hi na hote
Magar jaane de
Aadatan toh sochenge
Hota yun toh kya hota
Magar jaane de
 
Woh jo tha khwab saa
Kya kahein jaane de
Yeh jo hai kam se kam
Yeh rahe ke jaane de