Kyun itno mein tujhko hi chunta hoon har pal
Kyun tere hi khwaab ab bunta hoon har pal
Kyun itno mein tujhko hi chunta hoon har pal
Tere hi khwaab ab bunta hoon har pal
 
Tune mujhe jeene ka hunar diya
Khamoshi se sehne ka sabar diya
Tu hi bharosa zindagi ka
Tu hai mera honsla
Mujhe jeena sikha diya
Marna sikha diya
Teri wafaaon ne tumsa bana diya
 
Tere khayalon mein ho gayi gum
Ye meri tanhaiyaan
Ab rooh meri karne lagi hai teri nigehbaaniyan
Tu hi bharosa zindagi ka
Tu hai mera honsla
 
Mujhe jeena sikha diya
Marna sikha diya
Teri wafaaon ne tumsa bana diya
Jeena sikha diya
Marna sikha diya
Teri wafaaon ne tumsa bana diya