Jaan le ki kismat ne baante hai
	raahon mein kaante
	Aur main bhi hu ziddi aaun kismat ke aade
	Naa roke rukun, tu gira main uthun
	Pinjre todkar failaunga main par
	Tujhme jitna hai zor tu laga le magar
	Hans ke kat jaayega, na jhukega ye sar
	 
	Jaan le ki kismat ne baante hai
	Raahon mein kaante hai..
	Naa roke rukun tu gira, main uthun..
	Regzaaron mein, aag hai jitni
	Hai lahu kholta mera inn ragon me phir bhi
	Khaak saaron ko, khaak hi kaafi
	Raas mujhko hai khamoshi meri
	 
	Bezubaan kab se main raha
	Begunaah sehta main raha
	Bezubaan kab se main raha
	Begunaah sehta main raha
	Jaan le ki kismat ne baante hai
	Raahon mein kaante hai..
	ki ki kismat ne baante hai
	Raahon mein kaante hai..
	 
	Sau sawaal hain
	Sau hai laanate
	Mere taraano pe
	Lagi hai kaalikhe
	Yeh.. aag sapno ki
	Raakh haathon mein
	Sooni aankhon mein chalti umeed hai
	Na mila mauka, na mili maafi
	Kehdo kitni sazaa aur baaki
	 
	Bezubaan kab se main raha
	Begunaah sehta main raha
	Bezubaan kab se main raha
	Begunaah sehta main raha
	 
	Jaan le ki kismat ne baante hai
	Raahon mein kaante hai..
	Main bhi hu ziddi aaun kismat ke aade
	Naa roke rukun tu gira main uthun
	Pinjre todkar failaunga main par
	Tujhme jitna hai zor tu laga le magar
	Hans ke kat jaayega, na jhukega ye sar