Abhi abhi toh mile ho
Abhi naa karo chhootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi roothne ki baat
Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi naa karo munh chhupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat
 
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina, neend tihare
Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa
 
Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamaane ki baat
Abhi abhi baatein ruki hain
Abhi abhi dohraane ki baat
Abhi abhi aawaaragi aayi
Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jane ki baat
Woh subah toh, bewajah ho
Ke guzre bin tumhare jiski raat
Woh subah toh, bewajah ho
Ke guzre bin tumhare jiski raat
 
Teri baazuon mein meri chahatein samaaye
Teri dhadkano ko meri dhadkanein sunaaye
Teri khwahisho se meri khwahishein riha hain
Teri karwaton se meri dastaan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon humnawa
Hum toh haare mahiya re
Moondein naina neend tihaare
Hum toh haare mahiya re
Moondein naina neend tihaare