Haan kabhi hum na haarenge
Kabhi na haarenge
Hum sabhi hum ko maarenge
Aankhon mein sapne hain
Sapnon mein aashayein hain..
Aashayein kehti hain
Kaanton mein gul aaye hain
Khil ke woh muskaaye hain
Yaaron aisa hai, apna yarana
 
Saath mein jeena hai,
Saath hai mar jaana
Har mushkil se hai humko takrana!
Jo socha hai woh, hamko hai pana
O..aaye andheron ki duniya se
Hum ujaalon mein,
Humne banaai apni jannat
Apne khayaalon se,
Ho..chaand taaron ko kisi din
Hum yahaan le aayenge
Ho..dhundhli dhundhli raah mein
Noor ban jaayenge
Yaaron aisa hai apna yarana
 
Saath mein jeena hai,
Saath hai mar jaana
Mar jaana…..
Haan..hum to aise parinde jo
Naa rokenge apni udaano ko
Hum to aise jhuka denge
Dharti pe aasmaano ko
Ab to aage hi badhega
Har kadam apna
Ho..door kitni bhi ho manzil
Ab naa hai thakna..aa..
Aankhon mein sapne hain
Sapnon mein aashayein hain..
Aashayein kehti hain
Kaanton mein gul aaye hain
Khil ke woh muskaaye hain
Yaaron aisa hai, apna yarana
 
Saath mein jeena hai,
Saath hai mar jaana
Har mushkil se hai humko takrana!
Jo socha hai woh, hamko hai pana…
Yaaron aisa hai, apna yarana
Saath mein jeena hai,
Saath hai mar jaana
Har mushkil se hai humko takrana
Jo socha hai woh, ab woh hai pana…