Thodi meethi thodi teekhi
Pind mein ladki aa gayi hai
Haaye re taube mach gaye hain
Sabki latki zuban
 
Tujhe aankhon mein bharne ke liye
Kar rahe jagraate tere
Husn ke kitne charche hain
Sansani khabar yahaan
 
Chale naa jaadu kaala
Tone par langar daala
Ghus gaye saare dekho tantar-mantar
 
Nazarbattu main tera bana
Haan main tera bana
Oye main tera bana
Haan haan main tera bana
Nazarbattu
 
Buri nazron ka pehra bana
Haan main pehra bana
Oye main pehra bana
Haan haan main pehra bana
Nazarbattu
 
Thodi khalbali
Thodi chulbuli
Aafat ki pudiya ye oye
Adaa nasheeli dekh ke
Kitno ka paara chadha
 
Tu door rahe bure saaye se
Khud baandhe kaale dhaage
Itr ki mehak se teri
Badla badla mera jahaan
 
Chale naa jaadu kaala
Tone par langar daala
Ghus gaye saare dekho tantar-mantar
 
Nazarbattu main tera bana
Haan main tera bana
Oye main tera bana
Haan haan main tera bana
Nazarbattu
 
Buri nazron ka pehra bana
Haan main pehra bana
Oye main pehra bana
Haan haan main pehra bana
Nazarbattu