Sooni shaam hai
Soona khwaab hai
Hain khamoshiyaan
Sooni yaad hain
 
Yun muh mod kar safar chod kar
Meri khwahishon ki rooh odh kar na jaa
Chukar tujhe hun main khila zara zara
Haan tujhme hi hun main ghulaa zara zara
Khamoshiyaan hai kah gayi zara zara
Haan mujhme bhi tu rah gaya
 
Takte rahe tujhe raat bhar
Baandhaa kiye taaron kaa ghar
Takte rahe taaron ka ghar
Kirno se hai tera bayaan mera jahan
Hai oss boond bheegi meri zubaan zubaan
Chukar tujhe hun main khila zara zara
Haan tujhme hi hun main ghulaa zara zara