Koi ye batade
Main hoon kahan
Koi toh batade
Mera pata
Sahi hai ke nahi
Meri ye dagar
Loon ke nahi main
Apna ye safar
 
Darr lagta hain sapno se
Karde na yeh tabah
Darr lagta hai apno se
Dede na ye daga
Main chand hoon ya daag hoon
Main raakh hun ya aag hun
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hun sakun ya hun kehar
Koi ye batade
Main kaun hoon
Kyu hoon main kya hoon
Main kaun hoon
 
Yakeen hai ke nahin
Khud pe mujhko kya
Hoon ke nahi main
Hai farak padta kya
Kiske kandho pe roun
Ho jaaye jo khata
Kisko raahon mein dhoondun
Kho jaye jo pata
 
Main chand hoon ya daag hoon
Main raakh hun ya aag hun
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hun sakun ya hun kehar
Hey Hey Hey Hey
Main kaun hoon