Anjaan hawao ki
Ghatao ki fizao ki
Ye kesi sham hai
Gham ke ye saye jo
Hai chaye aur lehraye
Ye unka kya
Anjam hai
Hoo kisne dekha hai
Kal tu ab sambhal
Aur sunle kya kehta ye
Pal
 
Kehta hai aaj tu kar aarzu
Aur khud apni kismat ko
Badal
Takdeer badal
Chal chalein
Chal pade
Ek nayi kahani
Hum likhe
Mil kar
Chal chalein
Chal pade
Iss raat ki bhi hogi ek
Seher
 
Ye man mein khayal rey
Sawal karta hai
Ho jab ye gaanth aur suraj
Hamare
Dil ka jo saaz hai
Awaz hai
Andaz hai
Hum usko
Jaan le
 
Woh jo sunata hai
Dohrata hai aur
Gata hai hum usko
Maan le
Hoo..duniya mein aaye hai
Dil paye hai apni marzi se
Kyu na jee le
 
Kese jhuk jaye hum
Ruk jaye hum manzil ko tu
Baki hai mile
Chal chalein
Chal pade
Ek nayi kahani
Hum likhe
Mil kar
 
Chal chalein
Chal pade
Iss raat ki bhi hogi ek
Seher
Aao naye duniya main
Aajao dekho ye
Kitni haseen
 
Yahan khushiyo ke andaz
Nirale aangan aangan
Yaha hasrat bhi dil khool ke dekho
Nachee chan chan chan
Ho..sath mile tera
To chamkegi fir kismat
hamari
 
Hath thame tera
To badalegi fir duniya
Sari..
Apne hatho se
Kyu na likhe
Kyu na likhe
Apne dil ka hum fasana
Lakh roke ye zamana
Chal chalein
Chal pade
Ek nayi kahani
Hum likhe
Mil kar
 
Chal chalein
Chal pade
Iss raat ki bhi hogi ek
Seher
Har nagar har dagar
Har raste ke hum hai
Humsafar