Tu safar mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Tu mera Khuda
Tu hi duaa mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
 
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera
Banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara
Ae Dil Hai Mushkil
Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahi
Jitna hua tera
 
Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
 
Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai
 
Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu be-khabar
Mohtaaj manzil ka toh nahi hai
Ye ek tarfa mera safar, safar
Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhura hoke bhi
Hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
 
Ek tarfa pyar ki taakat hi kuch aur hoti hai
Auron ke rishte ki tarah ye do logon mein nahi bant’ti, Sirf mera haq hai ispe