Ishq woh bala hai
Ishq woh bala hai
Jisko chhuaa isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru
Dil se hota hai shuru
Par kambakht sar pe chadha hai
Kabhi khud se, kabhi khuda se
Kabhi zamaane se lada hai
Itna hua badnaam phir bhi
Har zubaan pe ada hai
Ishq ki..saazishein
Ishq ki..baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa
Kyun tune meri fursat ki
Kyun dil mein itni harqat ki
 
Ishaq mein itni barqat ki
Ye tune kya kiya..
Phiru ab maara maara main
Chaand se bichhda taara main
Dil se itna kyun haara main
Ye tune kya kiya..
Saari duniya se jeet ke
Main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara
Kiya tune kya asar
Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
 
Ye tune kya kiya
Meri baahon ko teri saanson ki jo
Aadatein lagi hain waisi
Jee leta hoon ab main thoda aur
Meri dil ki ret pe
Aankhon ki jo pade parchhai teri
Pee leta hoon tab main thoda aur
Jaane kaun hai tu meri
Main naa jaanu ye magar
Jahaan jaaun main karoon main wahaan
Tera hi zikar
Mujhe tu raazi lagti hai
Jeeti hui baazi lagti hai
 
Tabiyat taazi lagti hai
Ye tune kya kiya
Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiya
Dil karta hai, teri baatein sunu
Saude main adhoore chunu
Muft ka hua ye faayda
Kyun khud ko main barbaad karoon
Fanaa hoke tunhse miloon
Ishq ka ajab hai qaayda
Teri raahon se jo guzri hain meri dagar
 
Main aage badh gaya hoon
Thoda hoke be-fikar
Kaho toh, kis se marzi loon
Kaho toh, kis ko arzi doon
Hansta ab thoda farzi hoon
Ye tune kya kiya
Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab-jab saansein leta hoon….
Ishq ki..saazishein
Ishq ki..baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa