Saale sapne
O saale sapne
Udde baadal ka ek tukda kaise main todu
Doobe doobe dariya ka ek kona kaise nichodun
Kaise batao na raat din
Kaatu main dhup ke dooriyaan
Baandhu main chawn ke boriyaan
Jaanu na
 
O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nash mein
Ab jaha tu
Aa raha hoon main waha
O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hoon main tere bas mein
Ab jaha tu
Aa raha hoon main waha
 
Haan maine chand ko churake
Maine loriyaan sunake
Maine khud ko tha sulaya
So ja
Par tunne battiyaan jala di
Tunne dhajiyaan udda di
Tunne neend se uthaya
Abbe saale sapne
 
Ab to jagunga main raat din
Hosh udda doonga main tera
Picha na chhodunga main tera
Chhodunga na
O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nash mein
Ab jahan tu
Aa rahan hoon main wahan
 
O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hoon main tere bas mein
Ab jahan tu
Aa rahan hoon main wahan
Tu bhi hai bada kamina
Main bhi kam nahi deewana
Dono ka hai ek gaana
Ho ho haha
 
Aaja chhod de bagawat
Aaja odh le mohabbat
Aaja tujhse kya chhipana
Abey saale sapne
Mujhko bhi latt hai teri
Tujhko bhi chaska mera
Ek hi rashta tera mera
Aao na
 
O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nash mein
Ab jahan tu
Aa raha hoon main wahan
O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hain tu mere bas mein
Ab jahan tu
Aa raha hoon main wahan