Iss qadar pyar hai tumse aye humsafar
Chandani naram si raat ke honth par
Teri nadaaniyan
Teri gustakhiyan
Mili toh yun judi
Ke bheegi raat bhar
Iss qadar pyar hai tumse aye humsafar
 
Dil mein hai betabiyan
Neend udne lagi
Tere khayaalon se hi
Aankh judne lagi
Ab toh ye baahein
Jhukti nigahein
Bas inhi ki fikar
 
Teri angdaaiyan
Meri khamoshiyan
Mili toh yun judi
Ke bheege raat bhar
Is kadar pyar hai tumse aye humsafar
 
Meri thi jo khaamiyan
Tujhse poori hui
Baaqi huve bewajah
Tu zaroori hui
Ab ye fasaana
Meri jaan-e-jaana
Bas chalta rahe umr bhar
 
Teri madhoshiyan
Meri tanhaaiyan
Mili toh yun judi
Ke bheege raat bhar