Meri adhoori kahaani
Lo daastaan bann gayi
Ho tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya bann gayi
Sehme hue sapne mere haule haule angdaiyaan le rahe
Thehre hue lamhe mere nayi nayi gehraiyaan le rahe
 
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hain armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane o saiyyan
Odhu teri kaaya
Solah singaar main saja loon
 
Sangam ki yeh raina iss mein tyohaar main mana loon
Khushboo teri choo ke kastoori ho jaaun
Kitni pheeki thi main sindoori ho jaaun
Sur se zara behki hui meri duniya thi badi besuri
Sur mein tere dhalne lagi
 
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan karne
Lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi
Hai aankh num kyun naa jaane o saiyyan
Mere aasmaan se jo hamesha gumshuda thay
Chaand taare tune gardishon ki lai badal di
Laut aaye aaj saare
O saiyyan